Dil O Nigaah Pe Kis Taur Ke Azaab Utray …


Dil O nigaah pe kis taur ke azaab utray
Wo maahtaab hi utra, na uske khaab utray


KahaaN woh rut K jabeenoN pe aaftaab utray
Zamana beet gaya unki aab O taab utray


Main usse khul ke miluN, soch ka hijaab utray
Woh chahta hai meri rooh ka naqaab utray


Udaas shab meN, kaRi dopaher ke lamhoN meN
Koi charaagh,  koi suurat E gulaab utray


Kabhi kabhi tere lehje ki shabnami Thandak
Samaa’atoN ke darichon pe khaab khaab utray


Faseel E shehar E tamanna ki zard bailoN per
Tera jamaal kabhi surat E sahaab utray!


Teri haNsi meN naye mausamoN ki khushbu thi
Naveed ho K badan se puraane khaab utray


Supurdagi ka mujassam sawaal ban ke khiluN
Misaal E qatra E shabnam tera jawaab utray


Teri tarah, meri aankheN bhi mo’tabar na raheeN
Safar se qabl hi raston meN woh saraab utray!!

( Majmua-e-kalaam : Khushbu : se )

Hawa Mahak UThi Rang E Chaman Badalne Laga …


Hawa mahak uThi rang E chaman badalne laga


Woh mere saamne jab pairahan badalne laga


Bahum hue haiN to  ab guftagu nahi hoti


Bayaan E haal meN tarz E sukhan badalne laga


Andhere meN bhi mujhe jagmaga gaya hai koi


Bas ik nigaah se rang E badan badalne laga


Zara si dair ko barish ruki thi shaakhoN per


Mizaaj E susan O sarv O saman badalne laga


Faraz E koh pe bijli kuch is tarah chamki


Libaas E vaadi O dasht O daman badalne laga

( Taken from:  Inkaar )

Dil Ki Barbaadi Ka Koi Silsilaa Pahle Se Tha …


Dil ki barbaadi ka koi silsilaa pahle se tha
Is chiraGh E shab pe altaaf E hawa pahle se tha
 
Us ke yuN tark E muhabbat ka sabab hoga koi
Ji nahi yeh maanta wo bewafaa pahle se tha
 
DonoN apni zindagi ke chhutpute meN haiN magar
Is tarah milna muQaddar me likha pahle se tha
 
Ab to zakhm E dil namak khaar E tawajjoh hai tera
Naam par jari tere harf E dua pahle se tha
 
Raasta bhoola nahi abke parinde khushkhabar
Aur kuchh ujRa hua shahr E sabaa pahle se tha
 
Tere aane se to bas zanjeer hi badli gayi
Hum asiiroN pe jafaa ka baab waa pahle se tha

Ab Kya Hai Jo Tere Paas AauN …


Ab kya hai jo tere paas aauN
Kis maan par tujhko aazmaauN


Zakhm ab ke to saamnehi khaaauN
Dushman se na dosti buRhaaauN


Titli ki tarah jo uR chuka hai
Wo lamha kahaN se khoj laaauN


Girvi haiN samaa’ateN bhi ab to
Kya teri sadaa ko muNh dikhaaauN


Ae mere liye na dukhne waale
Kaise tere dukh samet laaauN


YuN teri shanaakht mujh meN utre
Pahchaan tak apni bhool jaaauN


Tere hi bhalay ko chaahti huN
MaiN tujh ko kabhi na yaad aauN


Qaamat se baRi salib paa kar
Dukh ko kyuN kar gale lagaaauN


Deewar se bel baRh gyee hai
Phir kyuN na maiN bhi phail jaaauN

Amir E Shahr Se Sayil BaRa Hai …


Amir E shahr se sayil baRa hai
Bahut naadaar, lekin dil baRa hai

Lahoo jamne se pahle khuN-baha de
YahaaN insaaf se Qatil baRa hai

ChaTaanoN meN ghira hai, aur chup hai
Samumdar se kahiN saahil baRa hai

Kisi basti meN hogi such ki hurmat
Hamare shahr meN baatil baRa hai

Jo zil-lul-lah per eemaan laye
Wohi danaoN meN aaqil baRa hai

Use kho kar bahaaye-dard paayii
ZayaaN chhota tha aur haasil baRa hai

Sundar Komal SapnoN Ki Baaraat …


Sundar komal sapnoN ki baaraat guzar gayi jaanaaN
Dhup aNkhon tak aa pahuNchi hai raat guzar gayi jaanaaN

Bhor samay tak jis ne hamaiN baaham uljhaaye rakkha
Woh albeli resham jaisi baat guzar gayi jaanaaN

Sadaa ki dekhi raat hamaiN is baar mili to chupke se
Khaali hath pe rakh k kya saughat guzar gayi jaanaaN

Kis koNpal ki aas meN ab tak waise hi sar-sabz ho tum
Ab to dhup ka mausam hai barsaat guzar gayi jaanaaN

Log na jane kin raatoN ki muraadeN maaNga karte haiN
Apni raat to woh jo tere saath guzar gayi jaanaaN

Shab Wohi Lekin Sitara Aur Hai …


Shab wohi lekin sitara aur hai
Ab safar ka iste’ara aur hai

Ek muththi rait men kaise thame
Is samandar ka kinara aur hai

Mauj k murne men kitni der hai
Nao dali aur dhara aur hai

Jang ka hathyar tai kuch aur tha
Teer seene men utara aur hai

Matn men to jurm sabit hai magar
Haashiya, sare ka sara aur hai

Sath to mera zamiN deti mager
Aasman ka hi ishara aur hai

Dhoop men dewaar hi kaam ayegi
Tez barish ka sahara aur hai

Haarne men ek anaa ki baat thi
Jeet jane men khasara aur hai

Sukh ke mausam ungliyoN pe gin liye
Fasl E gham ka goshwara aur hai

Der se palkeN nahi  jhapkiN meri
Pesh E jaN abke nazara aur hai

Aur kuch pal us ka rasta dekh lun
Aasman par ek tara aur hai

Had chiraghon ki yahan se khatm hai
Aaj se rasta hamara aur hai

Apni Tanhayi Mere Nam Pe Abaad Kare …


Apni tanhaayii mere naam pe aabaad kare

Kaun hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare

Dil ajab shahr K jis par bhi khula dar iska

Woh musaafir ise har samt se barbaad kare

Apne qaatil ki zahanat se preshan hun main

Roz ek maut naye tarz ki eejaad kare

Itnaa hairaaN ho meri be-talabi ke aage

Wa qafas mein koi dar khud mera saiyyad kare

Salb E beenaayii ke ahkaam mile hain jo kabhi

Raushni chhune ki khashish koi shabzaad kare

Soch rakhna bhi jaraayem mein hai shamil ab to

Wohi maasoom hai har baat pe jo saad kare

Jab lahoo bol paRe uske gawaahoN ke khilaf

Qaazii-E-shahr kuchh is baab mein irshaad kare

Uski muTThi mein bahut roz raha mera wajood

Mere saahir se kaho ab mujhe aazaad kare

(Parveen Shakir)

Yun Hausla Dil Ne Haaraa Kab Tha


YuN hausla dil ne haaraa kab tha
Sartaan  mera sitaaraa kab tha

Laazim tha guzarna zindagi se
Bin zehr piye guzaaraa kab tha

Kuchh pal use aur dekh sakte
AshkoN ko magar gawaaraa kab tha

Hum khud bhi judaayi ka sabab the
Uska hi qusoor saaraa kab tha

Ab aur ke saath hai to kya dukh
Pahle bhi koi hamaaraa kab tha

Ek naam par zakhm khil uthe the
Qaatil ki taraf ishaaraa kab tha

Aaye ho to raushni hui hai!!
Is baam par koi taaraa kab tha

Dekha hua ghar tha par kisi ne
Dulhan ki tarah saNwaaraa kab tha

(From KHUD  KALAAMI by Parvin Shakir)